Tere dukh aur dard ka mujhpar bhi ho aisa asar,tu rahe bhukha to mujhse bhi na khaya jaaye.
Teri manzil ko agar rasta na mai dikhla sakun,mujhse bhi meri manzil, ko na paya jaaye.
Tere tapte sheesh ko gar,chhanv na dikhla sakun,mere sar ki chanv se,sooraj saha na jaaye.
Tere armaano ko gar mai, pankh na lagava sakun,meri aashaon ke pairon se chala na jaye.
Tere andhiyare ghar mai roshan agar na kar sakun,mere angan ke diye se bhi jala na jaye.
Tere ghavon ko agar marham se na sahla sakun,mere nanhe jakhm ko barson bhara na jaaye.
Aag bujhti hai yahan,Ganga mein bhi Jhelum mein bhi,Koi batlaye kahan, jaakar nahaya jaaye.
No comments:
Post a Comment